Time Table (Mumbai):
Dua’as:
Bishmilla Hir-Rahaman ir-Rahim
(Allah ke rasul sallallaho-alaye-wa –sallam farmate hai ki rozedar ki dua eftar ke waqt rad nahi hoti,
lehaza eftar ke waqt rojana kam se kam ek dua padhe. Auwal wa akhir me darud shairf jaroor padhe.)
(1) aye allah hamari zuban par kalmaye tayyaba hamesha jari rakh.
(2) aye allah hame kamil eman nashib farma aur puri hidayat ata farma.
(3) aye allah hame pure ramzan ki neamatain anwar wa barkat se malamal farma.
(4) aye allah ham par apni rahemat nazil farma, karam ki barish farma aur rijke halal ata farma.
(5) aye allah hame deene islam ke ahkam par mukammal taur par amal karne wala bana de.
(6) aye allah tu hame apna mohtaz bana,kisi gair ka mohotaz na bana.
(7) aye allah hame laylatul kadar nasib farma.
(8) aye allah hame hajje maqbool wa mabroor nasib farma.
(9) aye allah hame jhhut,gibat,kina,burai,jhagda,fasaad se dur rakh.
(10)aye allah ham se tang-dasti,khawf,ghabrahat,aur karaz ke bojh ko dur farma.
(11)aye allah hamare chhote-bade tamam gunahon ko maaf farma.
(12)aye allah ham ko dazzal ke fitne,shaitan aur nafs ke shar se mahefuz rakh.
(13)aye allah auraton ko parde ki puri pabandi karne ki tawfiq ataa farma.
(14)aye allah har chote badi bimari se hamai aur kul momineen wa momeenat ko mahfuz rakh.
(15)aye allah hume takwa aur parhejgari ata farma.
(16)aye allah hame huzur akdas sallallah-alaye-wa-sallam ke pyare tarike par kayam rakh.
(17)aye allah hame huzur akdas sallallah-alaye-wa-sallam ki sunnat par chalne ki tawfiq ata farma.
(18)aye allah hame huzur akdas sallallah-alaye-wa-sallam ke hathhon se jame- kausar nasib farma.
(19)aye allah hame huzur akdas sallallah-alaye-wa-sallam ki shafaat nasib farma.
(20)aye allah tu apni aur hamare aaka sallallaho-alaye-wa-sallam ki mohobbat hamare dilo mai dalde.
(21)aye allah hame maut ki shakhti aur kabar ke azab se bacha.
(22)aye allah munkar nakir ke sawal ham par asan farma.
(23)aye allah hame qayamat ke din apna didar nasib farma.
(24)aye allah hame jannatul firdaus me jagah ata farma.
(25)aye allah hame qayamat ki garmi aur jahannam ke aag se mahefuz rakh.
(26)aye allah hame aur tamam momineen wa momeenat ko hashr ki rushwaiyon se bacha.
(27)aye allah namaye-amal hamre dahene hath me nasib farma.
(28)aye allah apne arsh ke saye me jagha ata farma.
(29)aye allah pul shirat par bizli ki tarah guzarne ki tawfiq ata farma.
(30)aye allah hame dono jahan mai rasul e pak sallallah-alaye-wa-sallam ka gulam banakar rakh.
Taraveeh dua’a:
Sehri and iftaar dua’a:
Ramazan Prayers for Ashra:
1)
2)
3)